Translate

Jinnat Kon Kon Se Kam Kar Sakta Hai

Assalamu allaiqum

Jinnat bahut se kam kar sakta ha yani ke  jinnat waswasa be dal sakta ha insan ka dil main . physically be kam kar sakta ha jesa insan karta he.
Jinnat be wesa he kam karta he.
Kuch cheezo main farak he jinnat mein or insan mein .
Jesa k jinn nazar nahi ata insan ko
is ki tasdeak quran pak mein hain.





Surah Al Araf verse no. 27



Jinnat be Insano ki tarah kam karta he
Jinnat aisi taqatvar quom he jo bare bare imarate or door daraz se cheeze la kar de sakta ha bare bare yeah log kam kar sakta ha quran mein zikar he is ka bare mein.

Surah Saba verse no 12,13


 

Jinnat fiza main urr(flying) be sakta he.


Surah Jinn verse no. 8,9

Amal Ke Darmiyan Darna Nhi Chahiye

Assalamu allaiqum

Amel ko kisi be waqat khauf zada nahi hona chaheya .
Qki amel jab jinnat ka amal karta he to jinnat ka aana shuru ho jata he.
Jinnat amal main dakhal dena ke liya bahut tang karta he. Or hisar ka pass khade ho kar ajeeb ajeeb manzar dekhata he.
Jinnat yeah sab isliya karta he qki wo amel ka tabah nahi hona chata  or na he apni azadi khona chata ha .
Woh apni azadi ko bachana ke liya her tarah ki pore koshish karta he ka amal nakamyab ho jahe .jo be jinnat manzar dikhata ha wo sirf ek tamasha hota he. Asliyat uski kuch bhi nahi hote wo sirf amel ko khauf delata he taki amel jinnat ko kabo na kar sake .
Is kisam ke amal karna se pehla khoob achi tarah apna zehan bana lay ka yeah ake khaternak khel ha or amal karta howa dar ke hisar se bahar nikal gaya to jaan be ja sakte he .

Ya to apna dar or khauf door karna ka liya daraoni films dekhe yani horror films dekhe taki dil mazboot ho. or aise cheeze apko khel or mazak lage.

Kya Sewa Allah Ke Kisise Madad mangna Jahiz Hain

Assalamu allaiqum

Bahut se aise log hain jo yeah samjhte he ke sewahe Allah ka kisi or se madad na mango or wo yeah samjhte he ki aisa karna gunah he . Ya iman main kami aa jate he .
 jo log yeah sochta ha wo galat he. ya to unka pass ilm ki kami ha ya wo na samaj ha q k yeah shaitan ka hamla he wo nahi chata ka insan kamyab ho ab main quran se hawala de kar bataonga ke dosaro se madad lena jahiz he.


Surah Touba mein Allah tala ne saaf or khulay alfaz main bata deya he ki iman walay mard or iman wali auratein ek dosare ki madad karega.

Surah al Maheda mein Allah tala ne bani Israel se wada liya tha ka mere sab rasoolo ki madad karo. yani k rasoolo ki be madad hui

Is aiyat main saaf saaf Allah tala keh rahe he k a iman waloo apas mein madad karo.


is aiyat main Hazrat Isa allaihissalam ne hawario se madad mangi


 
Is aayat mein zulqarnain ne logo se madad mangi.


Surah Taha mein Hazrat Musa Allaihissalam ne apna kumbe ki madad mangi.

Maine apni poore koshish kare he acchhi tarah samjha ne ki ab be agar kisi ko samajh nahi ata to phir usko Allah hidayat den.


Jinn Se Madad Lena Jahiz He Ya Nhi

Assalamu allaiqum

Aisa jinn jo shayateen he un se madad lena her gezz her gezz jahiz nahi q k wo shaitan hota he . or shaitan Allah ka dushman he is liya Allah ke dushman se her gezz her gezz madad mat mangne .
Agar app madad mangenge to Allah ka dushman shaitan apko goomrah kardega .
is liya shaitan jinnat se bacho or aise jinno ki baat bhi nahi sunna or na he inki kisi be shart ko manna shaitan jinnat ko samajh ne ka liya mera blog shaitan ki hakikat ko padhe.

Aise jinn jo muslim he or jo jinn Quran or sunnah per he app unse madad lay sakta he.
Qki Muslim jo he muslim ka bhai he .
Ek muslim dosare muslim se madad mang sakta he is mein koi gunah nahi he/
Ap Salal laho Allai ha wasallam ne khud farmaya he ke ek musalman dosare musalman ka bhai he.
Kafe ahadees se yeah baat sabit hote he
Quran pak main be zikar he ka musalman apas main bhai hain.

Surah Hujjurat verse number 10


Surah Al Imran verse number 103
Surah Al Bakrah verse number 220






Taharat Jism

Assalamu allaiqum

Aamil k liye zaroore he ke ap apna jisam ko saaf suthara rakhe . Yani ke har waqt paak saaf rakhe apne badan ko doran e amal or apka jisam se badbu nai aani chahiye . koshish karein jyada se jyada time wazu mein rahe .
Roz subah uthkar ghosal kiya kareen .
apna jisam k bal kate jaha ka baal katna zaroore hote he for example sharam gah,bagal. taki badbu na aaye . khana khane ka foran baad daat achi tarah saaf kareen muh se kulli bhhi kiya kareen taki khane ki bhi badbu na rahe . agar app garmio mein amal kar rahe ha to app itna jyada kam kaj nahi kareen k jis se apko jyada pasina aaye .

qki jab pasina aayega apko to us ki wajah se babdu peda hogi . amal karna se pehle dekh liya kareen ke apka libas napak to nahi ho gaya hai . ya us main koi gand najasat to nahi lagi hui bakhurat wagerah dekh kar use kareen aurato ke sath humbistare,film nach gana, dosti yaare sab band doran e amal . app ko in cheezo ka khas khail rakhna he.

Amel Ka Lebas or Kapde Kaise Hone Chahiye

Assalamu allaiqum

Amel ka liye bazz okat alag alag rang ka libas pehanane padtt hain .
ya jis bhi shaks ka jo bhi amal hota he wo wesa he libas pehanane ki hedayat karta he.
Jyadatar chust libas pehanane chahiye taki hamzad thik se waza ho dewar par .
Agar kisi amal mein hamzad ke libas ki koi shart nahi rakhi tu phir app safaid(white) libas pehne .
Yani white shalwar kameez pehane or amal k waqat wahi pehan liya karein . White salwar kameez ka yeah fayda he ke yeah ek to sufi libas he or is ko pehan ne se rohaniyat bahut barte he .

bazz amal mein to ahram pehanane ki bhi hidayat hote he. Ye yaad rakhe jab bhi ap ahram pehne to wo sila huwa kahin se bhi nahi hona chahiye yani ka us per sui(needle) bilkul bhi na chali ho yani 1 , 2 selahe be na ho . yeah choti choti bateen ha jo zehan main rakh na bahut zaroore hota ha amal hamzad k liya

Jinnat ka zikr Quran Sharif Mein

Assalamu Alailum Wa Rehmatullah wa Barkatulllah


Allah pak ki taraf se plz yeah aiyat zaroor read kareen.


Surah al a'raf verse no.36




Surah al anaam verse no.49





Tamam bhai behano  se mare guzarish hai ka wo is tarah ka alfaz na bolay ka main jinn per yaqeen nahi rakhta ya jinn ka koi wajood nahi hai ya koi jinn win nahi hota is tarah ke faltu alfaz na bolay q k jab quran pak main Allah tala farma rahe hai to is ka matlab Allah tala ne jinnat ko peda kiya hai or in ki hakikat hai or jinnat ber haq hai or phir ek taraf se jo yeah keh raha hai ka jinn nahi hota to jo yeah bolta hai ka jinn nahi hota to main us se yeah puchta ho ka kya app Allah se behtar jante ho or yeah bol kar app kya sabit karna cha rahe ho ka kya allah pak jhoot bol rahe hai ? or app such bol rahe ho? Allah tala na apni azeem kitab quran pak main saaf saaf or khulay alfaz main farmadeya hai jinnat ka bare main so maine jitni aiyteen dhundi jinnat ki so maine likh deen ager koi muslim yeah alfaz kehta hai ka main jinn per yaqeen nahi rakhta to wo allah tala ki in tamam aayeton ko jhootlata hai so yeah kofar hai so tamam logo se mare guzarish hai ka wo kufar na kareen ager kisi ko shak hai ya confirm karna hai in aiyto ko kya yeah theek likhi hai ya nahi or in ka tarjuma theek hai be ya nahi to app log apne ghar ki quran pak main check kar sakta hai maine is liye verses ,surah or tarjuma be likh deya hai taki app log apne ghar ke quran se match karlen or motmahin ho jahe.

Surah al anaam verse no.100


Surah al anaam verse no.112


Surah al anaam verse no.128



Surah al a'raf verse no.38


Surah al a'raf verse no.179

Surah Hud verse no 119




Surah al Hijr verse no 27





Surah al Isra verse no 88









Surah al kahf verse no 50


Surah al naml verse no 39


Surah  saba verse no 12




Surah  saba verse no 14







Surah  Saba verse no 41






Surah  as Saffat verse no 158





Surah  Fussilat verse no 25






Surah  Fussilat verse no 29






Surah  Al Ahqaf  verse no 18




Surah  Al Ahqaf  verse no 29




Surah  Ad Dhariyat  verse no 56




Surah  Ar Rehman verse no 13





Surah  Ar Rehman verse no 15




Surah  Ar Rehman verse no 33





Surah  Ar Rehman verse no 39





Surah  Ar Rehman verse no 56




Surah  Ar Rehman verse no 74





Surah  Al Jinn verse no 1






Surah  Al Jinn verse no 5




Surah  Al Jinn verse no 6




Surah  An Nas verse no 6