Translate

Amel Aur Hamzad Ki Baatchit

As salamu allaiqum

Jab amel ke samne hamzad aakar khada hojaye to us ko hamzad se kaise baat karni chaheya wo mein bata deta hun q k insan amal to karleta hai laken us ko hamzad ko kaboo karne ki baat wagera nahi aati.

To apko samjhane ke liye mein likh deta hun.

Zaroore nahi hai ke hamzad aise he goftagoo (baatchit) karega wo kisi or tareka se bhi kar sakta hai.

Hamzad : mein hazir hun mujhe q bolaya hai.

Amel : mein apne or dusaro k kam tum se lena chata hun or sab kamo mein tum se madat chata hun.

Hamzad : mein apki har tarah se madat karunga agar islami tareka se tabah kiya hai to kahega mein gayer sharahe kam mein madat nahi karo ga.

Amel : is per app ade rahe or kahe k tumein her mera wo kam karna hoga jo mein tum ko kahunga jab tak hamzad razi na ho isi baat per jame rahe.

Hamzad: theek hai mein apke her kam mein madat karunga.

Amel: tum her waqt mera sath nahi rahogay belki jab mein bulaunga usi waqt hazir howa karoge or hazir hone ka usool yeh hoga k jab mein tumein tumara naam yani hamzad keh kar dil mein ya pokaro tu tum hazir hoge.

Hamzad : is baat ka ahad karein ga k mein hazir ho jao ga laken kya tum mujhe bolata waqt pak raha karoge . agar hamzad sifli hoga to kahega ka palide mein raha karoga.

Amel : in dono suraton ko app kabool na karein kahe ke mein jis be halat mein hun tum ko ana padega.

Hamzad : kahega k tum meri shirt pore karoge.


Amel : tum shart batao apni agar mere liya aasan hui or kabel kabool hui to mein us shirt ko pore karunga.

Hamzad Amal Mein Nakami

Assalamu allaiqum

Hamzad k amal mein nakami hona.

Kuch wajohat(wajah) mein hamzad ke amal mein nakami hote hai.

Wo q hote hai mein apko batata hun.

Sab se pehle to shaitan bahut disturb karte hai amal karne mein rokawatein dalte hai. uske baad hamzad khud wo nahi chahta or tesari sabse bade nakami hote hai ke amal karne walay jadu tona ya jinnat ka shikaar hota hai .

Q k mana aise bahut se log dekhe hai jo amal karte hai or nakamyab hota hai phir uske baad amal ko bura bura bolte hai ke yeh amal bekar hai.

Isse kuch bhi nahi hota halaki wo kale jadu ka shikaar hote hai or un ka piche jadugar laga huwa hota hau jo un per bar bar jadu karta rehta hai.

Agar kisi ke piche jadugar laga hua ho or us per bar bar jadu karein to 90% yaqeen karlein ke wo kamyab nahi ho sakta hamzad ke amal mein .

Q k jadugar pehla se or zyada bandish dalta hai taki amal kamyab na ho jadugar kabhi bhi nahi chahega ka victim k pass rohaniyat aye.

Agar koi kala jadu ya jinnat ka victim hai or wo hamzad ka amal kar raha hai ya u samajh lay ke wo kamyab ho gaya hai to me is mein garantee nahi de sakta ke us victim ny  asal hamzad ko kaboo kiya hai ya kisi or cheez ko . q k bazz aise cases hue hai ka jo log jadu tone ke victim the unhone hamzad ka amal kiya or usko kabo karliya abb hamzad se wo ba assani baat cheet karleta ha laken bazz okat wo hamzad nahi hota wo jadogar ka beja howa shaitan jinn hota hai.
Jo victim ko bewakuf bana raha hota hai hamzad ban ke aisi surat mein victim ko check karlena chahiye ke yeh apka asal hamzad hai ya koi or.

  1. App is tarah check kar sakta hai agar apka hamzad hoga to bilkul theek theek khaber le kar ayega or agar jadugar ka beja howa shaitan jinn hoga to jhooti jhooti  khabar dega.
  2. Agar jadugar ka beja howa shaitan jinn howa to uske apka pass ana se apki tabiyat kharab hogi dil ki dhadkan tezz or ajeeb gabrahat hogee.
  3. Sab se bade alamat yeh hai ka apka face aksar black yani kala ho jaya karega agar jadugar ka beja howa shaitan jinn howa.


Agar koi kala jadoo ka victim hai to wo jalali mokelat recitation se apna ilaj karein phir hamzad ka amal karein ya dono sath sath karein.

Types of Hamzad Amal

As salamu allaiqum
Aise to jis Aamil ka jo bhi amal hai wo waisa he karta hai. jis Aamil ny apna jis bhi amal mein maharat hasil ki ho hamzad ko kaboo karne mein us k apne alag tareke honge laken mein kuch khas or mashoor tareka likh deta ho jo hamzad ka amal hota hai.
  1. Ahteshe amal
Hamzad ka amal chirag jala kar kamar ka piche rakha jata ha or amal kiya jata ha ya phir suraj ki taraf dekhkar kiya jata ha ya phir nigah rakh kar chirag wegara ya sandal( chandan) ki lakdi (wood) ya khilono per nigah rakh kar kiya jata ha barhall ahteshe hamzad ka amal mein agg ko nomaya khososeyat de jate hai.
  1. Bade hamzad
Bade hamzad ka amal mein hawa mein nazar jama kar padhe ha , ya dhoop mein saye( shadow) per nigah  jama kar ya kisi daraket ya pahadi (mountain) wegara per beth kar jaha khuli hawa aa rahe ho . ya ulta latak kar . ya wo amal jin mein saye(shadow) per nazar jamane k baad asman per dekhna hota hai or asman se saye ko nicha utarna hota hai.
  1. Abi hamzad
abi hamzad ka amal mein pani mein beth ka amal karte hai ya khade ho kar saye(shadow) per nigah jama kar karte ha . ya jahz ya kashte mein amal karte ha jo pani ka under chal raha ho ya itne din pani mein he gozar ny hai amal ka doran.
  1. Khaki hamzad
khaki hamzad ka amal mein beth k andhere mein amal padhte hai . ya lait ( laying down) kar amal karte ha . mittii per saye(shadow) per nazar jama kar amal karte ha . ya mitti ki tasbhi or golay bana kar amal karte hai

Hamzad Aur Amel Ka Amna Samna

Assalamu allaiqum

Amal ke akhree dino mein hamzad aur Aamil ka amna samna hota hai .
Sewaye in amal k jin mein hamzad chupe hue tor per taskheer ho jata hai. Hamzad kisi be kisam ka ho taskheer ho kar akhree dino mein baat zaroor karta hai kuch amal aise hota hai jin mein bagair baat chit ke taskher ho jata ha varna amoman baat chit zaroor karta hai hamzad.

Aamil ko akhree dino mein faisala karna hota hai ki hamzad se kya baat ki jaye or isko kaise kaboo kiya jaye zara si bhool ho gayi Aamil se to wo pachtata rahega.


Hamzad q k ek chupi hui qowat hai or yeh amel ke kabze se nikal ne ke liye bahut se tareke ikhtayaar karte hai or apni koshish tamam is amar k liye karte hai ka Amel koi galti kar bethe or wo chchutkara hasil karlein is liye amel ka irada mazboot hona chahiye or us ke andar hosla or sabra bhi hona chaheya or amel darpok bhi nahi hona chaheya ke jab hamzad amel ka amna samna kar raho to kahin amil dar na jaye us ko dekh kar is liye dil mein se dar or khauf bilkul nikal de.

Shartein hamzad Amal Karne Ki

Assalamu Alaikum.
Amliyate najoom mein ab doran e amal jin jin baton ka khayal rakhna hai wo bata raha hun.
  1. Jab amal hamzad karne bethe to waswasa shaitani ko dil mein jagah na de or khayal bure ko demag se nikal de is tasavvar ka sath amal karein k goya app bahut jald kamyab honge inshallah.
  2. Amal se kam se kam Ek hafta( 1 week) pehle ladies se melmilap band karde yani sex wegara band karden.
  3. Perhaz karein jo tarak jalali wa jamali hai
  4. Tamam lawazmat ko ikhatta karlein amal karne se pehla taki amal karte hue pareshani nahi ho.
  5. Amal ka doran apna sir mein rogan kado ya rogan chambali ki sir mein massage karein.
  6. Amal ki ijazat kisi kamil shaks se lena zaroore ha ya fir mujhse le.
  7. Waqt jagah mukarar ho zameen hamwar ho , bazz amal jin mein sirf zehni kowat se kam lena hota hai or in me se ye zaroore nahi he k app 2 ghanta soye  balki apni neend ko pora karein taki amal k doran neend na aye.
  8. Jis makan mein app amal kar rahe hai us ghar mein ek alag room karlein , us room mein koi shor sharaba nahi hona chaheya , sukoon ho , koi nach gana nahi hona chaheya , wahe namaz padhe or ibadat karein or wahe amal karein us room mein koi tasveer , ya computer , tv nahi hona chaheya.
  9. Sab se important cheez ye hai k doran amal bahut se shak dil mein peda honge.wo shak hamzad peda karta ha ,
  10. for example kahega k tumein falana kam aisa karna chaheya tha . kabe kuch dil mein shak dalega to kabhi kuch dil mein or yeah roz ba roz badta jayega apko u maloom hoga jesa ki apka amal kam nahi kar raha or apki mehnat barbad ja rahe hai . to app foron samajh lay ka hamzad yeah sab batein dal raha hai or app apni soch ko ulta karden ka app kamyab ho rahe hai q k hamzad chahta ha k app hamzad ko kabo karna mein nakamyab ho jaye.

Jinnat Kon Kon Se Kam Kar Sakta Hai

Assalamu allaiqum

Jinnat bahut se kam kar sakta ha yani ke  jinnat waswasa be dal sakta ha insan ka dil main . physically be kam kar sakta ha jesa insan karta he.
Jinnat be wesa he kam karta he.
Kuch cheezo main farak he jinnat mein or insan mein .
Jesa k jinn nazar nahi ata insan ko
is ki tasdeak quran pak mein hain.





Surah Al Araf verse no. 27



Jinnat be Insano ki tarah kam karta he
Jinnat aisi taqatvar quom he jo bare bare imarate or door daraz se cheeze la kar de sakta ha bare bare yeah log kam kar sakta ha quran mein zikar he is ka bare mein.

Surah Saba verse no 12,13


 

Jinnat fiza main urr(flying) be sakta he.


Surah Jinn verse no. 8,9

Amal Ke Darmiyan Darna Nhi Chahiye

Assalamu allaiqum

Amel ko kisi be waqat khauf zada nahi hona chaheya .
Qki amel jab jinnat ka amal karta he to jinnat ka aana shuru ho jata he.
Jinnat amal main dakhal dena ke liya bahut tang karta he. Or hisar ka pass khade ho kar ajeeb ajeeb manzar dekhata he.
Jinnat yeah sab isliya karta he qki wo amel ka tabah nahi hona chata  or na he apni azadi khona chata ha .
Woh apni azadi ko bachana ke liya her tarah ki pore koshish karta he ka amal nakamyab ho jahe .jo be jinnat manzar dikhata ha wo sirf ek tamasha hota he. Asliyat uski kuch bhi nahi hote wo sirf amel ko khauf delata he taki amel jinnat ko kabo na kar sake .
Is kisam ke amal karna se pehla khoob achi tarah apna zehan bana lay ka yeah ake khaternak khel ha or amal karta howa dar ke hisar se bahar nikal gaya to jaan be ja sakte he .

Ya to apna dar or khauf door karna ka liya daraoni films dekhe yani horror films dekhe taki dil mazboot ho. or aise cheeze apko khel or mazak lage.