Translate

Hamzad Aur Amel Ka Amna Samna

Assalamu allaiqum

Amal ke akhree dino mein hamzad aur Aamil ka amna samna hota hai .
Sewaye in amal k jin mein hamzad chupe hue tor per taskheer ho jata hai. Hamzad kisi be kisam ka ho taskheer ho kar akhree dino mein baat zaroor karta hai kuch amal aise hota hai jin mein bagair baat chit ke taskher ho jata ha varna amoman baat chit zaroor karta hai hamzad.

Aamil ko akhree dino mein faisala karna hota hai ki hamzad se kya baat ki jaye or isko kaise kaboo kiya jaye zara si bhool ho gayi Aamil se to wo pachtata rahega.


Hamzad q k ek chupi hui qowat hai or yeh amel ke kabze se nikal ne ke liye bahut se tareke ikhtayaar karte hai or apni koshish tamam is amar k liye karte hai ka Amel koi galti kar bethe or wo chchutkara hasil karlein is liye amel ka irada mazboot hona chahiye or us ke andar hosla or sabra bhi hona chaheya or amel darpok bhi nahi hona chaheya ke jab hamzad amel ka amna samna kar raho to kahin amil dar na jaye us ko dekh kar is liye dil mein se dar or khauf bilkul nikal de.

No comments:

Post a Comment