Translate

Kya Sewa Allah Ke Kisise Madad mangna Jahiz Hain

Assalamu allaiqum

Bahut se aise log hain jo yeah samjhte he ke sewahe Allah ka kisi or se madad na mango or wo yeah samjhte he ki aisa karna gunah he . Ya iman main kami aa jate he .
 jo log yeah sochta ha wo galat he. ya to unka pass ilm ki kami ha ya wo na samaj ha q k yeah shaitan ka hamla he wo nahi chata ka insan kamyab ho ab main quran se hawala de kar bataonga ke dosaro se madad lena jahiz he.


Surah Touba mein Allah tala ne saaf or khulay alfaz main bata deya he ki iman walay mard or iman wali auratein ek dosare ki madad karega.

Surah al Maheda mein Allah tala ne bani Israel se wada liya tha ka mere sab rasoolo ki madad karo. yani k rasoolo ki be madad hui

Is aiyat main saaf saaf Allah tala keh rahe he k a iman waloo apas mein madad karo.


is aiyat main Hazrat Isa allaihissalam ne hawario se madad mangi


 
Is aayat mein zulqarnain ne logo se madad mangi.


Surah Taha mein Hazrat Musa Allaihissalam ne apna kumbe ki madad mangi.

Maine apni poore koshish kare he acchhi tarah samjha ne ki ab be agar kisi ko samajh nahi ata to phir usko Allah hidayat den.


No comments:

Post a Comment