Translate

Doran e amal kya kya wakayat pesh ate

Doran e amal kya kya wakayat pesh ate hain wo mein batata hun. Waise to her amal e jinnat ke alag wakayat hote hain lekin app logo ko ek idea dena ke liye thoda bahut likh deta hun. Agar jinnat ke badshah ko bulana ke amal hain to aisa hoga . Agar jinn ki amad shuru ho gaye hain to wo hisar ke ander dakhel nahi hoga.

Jinno ko pata hain ke wo agar hisar k eunder ghosega to wo jal ke rakh ho jayengey. Amal ke kuch he dino baad ajeeb ajeeb alamateen apko zahir ho gee mein amal ki last stage batata hun.

Is manzil per Aamil ko kataye tor per nidar or kamal mohtat rehna ki zaroorate hain. Andhi , pani , tofan , or degar nazaro ke bahut zor hoga . lekin kuch khauf khane ki zaroorate nahi hain. Yeah sab shobda hota hain. Is ki hakikat kuch na hogee .

amal ke last din yani 40 wa din jab hoga to Aamil ko maidan nazar ayega jahan per mali pani ka chidkao kar rahain hoga  or safaiwala jhadoo laga rahan hoga , phir kuch khadim kaleen bichata hain or kurseya lagata hain. in kursio ke darmayan ek bahut he khoobsorate jawahir nigar takhat dekhhae de ga. jo apna pehle kabhi na dekha hoga . thodi der ke under log yani jinn ana shuru ho jata hain jo kursio per bhith na shuru ho jayega . thodi der mein sare khali kurseya bhar jayegee . Thodi der ke under ek khoobsorate jawan ayega jo masan wazarat per bhith jayega yeah wazir hain. thodi der ke baad khadmeen ki zair nigrani mein pur wakar hasti jo umda labas mein or kimti here jawahrat ke taj pehna huwa hoga yeah shah jinnat hain. wazir bar ke istakbal karega or sare log jo bhithe honge wo bhi khare ho jayega shah jinnat ke istakbal mein .

Shah jinnat jawazhir nigar takht per bhith jayega phir sab log bhi bhith jate hain itna mein shah jinnat ke takat Aamil ke bilkul samne ho ga . Shah jinnat Aamil ko salam karega . Agar Aamil ke amal ki tadad pure ho gaye hain to Aamil salam ka jaweb den agar amil ke amal ki tadad pure nahi hui to adah kad yani ghutno per khare hoga ishare se salam ke jaweb den . jab amal pora ho jaye to phir jawab den walaiqum assalam . Shah jinnat kahega ae bani adam aye saheb dawat , hum ko q bulaya , phir Aamil jawab den.Ae shah jinnat apki tashreef avare ke shukriya . ye khaskar (yani Aamil) pure josh apke khair makdam karta hain. Meri arzoo apse yeah hain ke jis jagah or jis waqt hadsa nekwa bad se mujh per wakeho app mare madat farmaye. or khas kar dost or dushman mein bhi or dunyawe tamam kamo mein app mare madat farmaye or mein yeah bhi chahta ho k app apne kuch log mere madad k liye mokarar kardein or mujhe aisa aasan tareke  taleen farmaden ke jab mein apke dedar ki tamanna karo to wo ba aasani pore ho jaye or mujh ko dobara dawat deni na pareen . Shah jinnat mazrat karega bus yeah wo waqt hain jaha per Aamil ny bade meethe andaz se shah jinnat ko atkana hota hain apni chal mein k wo maan jaye;. Aamil ko chaheya ke wo bade meethe andaz mein shah jinnat ko razi karein or apni baat per kayam rahe.

Shah jinnat se bahut adab or shahistagee se baat karein jab Aamil shah jinnat ko razi karlega to shah jinnat apne kuch jinnat ki duty laga dega ke wo her waqt Aamil k sath rahe or us ki madat karein or us ko assan tarekebhi batayega khud ke hazir hona ka


Note = Ye baat yaad rakhe k shah jinnat ko bar bar mat bolaye q k itni badi azeem hasti ko bar bar bolana achchi baat nahi hain agar app aisa karenge to apni value kho denga shah jinnat ke samne shah jinnat ko sirf saal mein ek bar bolaye bus is se zada nahi


Ek or tareka batata hun ke doran e amal aisa bhi hota hai.

doran e amal Aamil ke pass log ate hain wo Aamil se pouchenga Ae farzand adam . Tera is daawat se kya maksad hain or kya matlab hain kara ho or apna karobar deni mein mashgool ho yeah na ho ke tujhe kuch nooksan ho .
Doran amal murg yani murga ayega jo Aamil ke pass bheth jayega ya phir uske sir per bheth jayega baki or dino mein darwash ana shuru ho jayega or salam karein ga or puchega k tune hum ko q bulaya or apni hajat hum se kar hum pore karein jesa jesa din badhte jayege waise waise Aamil ko cheeze bhi zyada nazar ani shuru ho jayegee jesa 40 din ke chilla hain to 27 we din Aamil ke samna dev , pare , jinn , or insan sab hazir ho jayegay or salam karenge ke Ae bani adam tum ny hum ko q bolaya hain hum ko apni hajat batao hum tumare hajat pore karenge , agar mahboob chata ho to mahboob ko la den ga , agar sona chata ho to sona la denge . agar karobar mein taraki chata ho to taraki dedenge .

Isi tarah 28 wa roz 4 mard aajayenge or wo mard bolenge . Ae Aamil kamil farzand adam uth or is hisar se bahar aa or apna maksad bayan kar . Agar mal chahta hain to mal la denge . Agar ilm sikhna chahta hain to ilm sekha denge . or kisi ko apni mohabbat mein dewana karna chata hainto dewana kardenge . Agar tera koi dushman hain to usko halaq kardenge yeah 4 log bahut se kasam khayenge or is baat per bhi razi ho jayenge k jo to khayega hum wahi kareinga . chila ke akhre roz bahut shor hoga or pore din tarah tarah ke ajeeb ajeeb wakayat honge . Aamil ko gor sawar nazar ayega . raat tak ya tamasha laga rahega kuch der baad ek sultan jo sher per sawaar 30 hazar pare kesath Aamil ke roh ba roh khade ho jayega or salam garaz karega agar Aamil k Amal ki tadat pore ho gaye hain to salam ke jawab den agar amal ki tadat pore nahi hui to sirf khare ho kar ishare se jawab den or jab tadat pore ho jaye phir zaban se kahe wa laiqum as salam phir wohe sab jesa uper maine bataya hain shah jinnat se ki tarah baat karni he.


yeah yaad rakhe ke doran e amal apko jo bhi amal bataya jaye jinnat ko tabah karna ke app ny tadat ke bahut khayal rakh na hain yani tadat jab tak amal ki pore na ho jaye tab tak apne jinnat se baat nahi karni jesa apko bola hain ke fala aiyat 125000 bar padho 40 din tak 1 din mein 3125 parna hain jab tak app yeah tadat itna dino mein pore na karleen na to app hisar se bahar nikle or na app kisi se baat karenge doran e amal is cheez ke khas khayal rakhe

No comments:

Post a Comment