Translate

Hamzad Ka Zikra Quran Pak Mein

As sallamu allaiqum

Aisa to har mazhab ke logo ki apni apni rai hain hamzad ke bare mein , koi isko nafz bolta hain koi is ko rooh bolta hain, koi is ko hamzad shaitan bolta hain koi is ko insani khayal bolta hain har mazhab ke logo ki hamzad ke barein mein kuch na kuch rai hain. Ab sawal yeah hain ke hamzad ki haqiqat ko sabit kaise kiya jaye ke yeah insan ke sath sath hota hain mein apko inshallah bahut achche se bataunga hamzad ke bare mein .
Hamzad 2 tarah ke hote hain ek hamzad hota hain achche jo hum ko achche kaam kerne ki taraf uksata hain or dusra hota hai nbura ya ap is ko shaitan hamzad bhi keh sakte hain yeah bure kamo ka hukum deta hain or bure bure khayal dalta hain or buraye ki taraf bolata hain
Insan ke sath achche hamzad hota hain is ko app farishtey be bol sakte hain is ki tasdeak quran pak mein hai.


Surah Az Zukkruf  Verse No 80
 

Surah Ar-Ra'd : Verse No 11


insan ke sath sath shaitan hamzad be hota hain is ki tasdeak quran pak mein hai


Surah Qaf Verse 26,27
Surah Az Zukkruf  Verse No 36


sahe se motalik quran pak main hai


Surah Al Furqan  Verse No 45
Surah Al Nahl  Verse No 48


Hazarate Ayeshain Raji Allah Tala Anha ki Hadees hai wo kehte hai ke Ek rat Nabi Salallaho Allaihi wassalam mere pass se nikley mujh gayrate aye aur mein bhi apke piche nikal gaye ap wapas huwe aur meri saans phulney kifiyate dekhi to farmaya apny kya tumko gayrate aa gyi thi.
Maine kaha bhala mujh jaise par  Q na garatein karenge app ney farmaya kya tumhare pass tumhara paas tumhare shaitan aa gya tha maine kaha Allah ke Rasool kya mere sath bhi  Shaitan hai app ne farmanya HA maine kaha kya har insane ke sath shaitan hain aap ne farmaya Haan


 Maine kaha apke sath bhi Aap Ne Farmaa Haan Lekin mere Rabb  ne us ke mukable meri madad ki or mera tabah hogya.Imam Muslim aur Imam Ahmad ne Abdullah se Rewayat kiya wo kehte hai ki NAbi Kareem Sallaloho Alaihi wassalam ne farmaya tum me se har shakhs ke sath ek Hamzad jin Mukerer kar diya gya hai ek Hamzad farishta bhi logo ne kaha ki Ae Allah Ke rasool kya ap ke sath bhi app ne farmaya Haan lekin Allah ne Uske mukable mere madad ki or mo mera tabah hogya Abb wo Sewaye khair ke mujhe kisi cheez ka hokum Nhi Deta.  

Ustad Ki Requirement (Jaroorat)

Assalamu Alaikum


Qki yeah amliyete field he. or jinnat ko kabo karna koi chota mota kam nahi he .yeah he khaternak kam he is main zara se galti ya bhool chook se bahut zyada nooksan ho sakta he . Jani ,Mali , ya Jisami , ya kisi bhi tareka ka kohi bhi nooksan ho sakta he . Ustad ki zaroorate jinnat ke amal k liye bahut zaroore he q k jab Amel amal kar raha hota he to usko aye din jo manzar dikhta he wo apne ustad ko batata he or tamam halat or wakayat se apna ustad ko agaah karta he .Agar jinnat amel ko bewakuf bana ny ki koshish karein to jo ustad hota he wo samjha deta he or her tarike se ustad support karta he . Agar khuda na karein amel ko kuch nooksan ho jaye ya amal padhne main ya karne main koi galti ho jaye to phir amel ka ustad sambal leta he sari situation . Yun samajh lay ka agar apne aise he muh utha kar amal karliya or piche koi apko guide karne wala na huwa or apse koi galti ho gayi to phir app kisse puchenge ya app kisi masle main ya pareshani main phas gaye to phir apko kon nikalay ga . ya apko rajat ho gaya ( rajat pagal pan ko kehta he jesa mirgee ka dore parta he wesa ) phir us ko kon theek karein ga .ya ulta apki zeendage or barbad ho gaye or app her tareka se tabah wa barbad ho gaye to phir app kese niklenge . phir app us waqt sochenge ke kash main yeah sab na karta or meri to pehle ki zeendage bahut achi thi main q aa gaya is field main or apna app ko app khod kosengey .is liye ustad ka hona is field main bahut bahut zaroore he bina ustad ke jinnat ka amal her gezz her gezz na karein agar app ny kiya or apko koi nooksan ho gaya to app khud zimmedar hongey is liye pehla kisi achche ustad Amel kamel se is mamlay main madad lay phir is field main kadam rakhe q k yeah field he bahut khatra he.

Doran e amal kya kya wakayat pesh ate

Doran e amal kya kya wakayat pesh ate hain wo mein batata hun. Waise to her amal e jinnat ke alag wakayat hote hain lekin app logo ko ek idea dena ke liye thoda bahut likh deta hun. Agar jinnat ke badshah ko bulana ke amal hain to aisa hoga . Agar jinn ki amad shuru ho gaye hain to wo hisar ke ander dakhel nahi hoga.

Jinno ko pata hain ke wo agar hisar k eunder ghosega to wo jal ke rakh ho jayengey. Amal ke kuch he dino baad ajeeb ajeeb alamateen apko zahir ho gee mein amal ki last stage batata hun.

Is manzil per Aamil ko kataye tor per nidar or kamal mohtat rehna ki zaroorate hain. Andhi , pani , tofan , or degar nazaro ke bahut zor hoga . lekin kuch khauf khane ki zaroorate nahi hain. Yeah sab shobda hota hain. Is ki hakikat kuch na hogee .

amal ke last din yani 40 wa din jab hoga to Aamil ko maidan nazar ayega jahan per mali pani ka chidkao kar rahain hoga  or safaiwala jhadoo laga rahan hoga , phir kuch khadim kaleen bichata hain or kurseya lagata hain. in kursio ke darmayan ek bahut he khoobsorate jawahir nigar takhat dekhhae de ga. jo apna pehle kabhi na dekha hoga . thodi der ke under log yani jinn ana shuru ho jata hain jo kursio per bhith na shuru ho jayega . thodi der mein sare khali kurseya bhar jayegee . Thodi der ke under ek khoobsorate jawan ayega jo masan wazarat per bhith jayega yeah wazir hain. thodi der ke baad khadmeen ki zair nigrani mein pur wakar hasti jo umda labas mein or kimti here jawahrat ke taj pehna huwa hoga yeah shah jinnat hain. wazir bar ke istakbal karega or sare log jo bhithe honge wo bhi khare ho jayega shah jinnat ke istakbal mein .

Shah jinnat jawazhir nigar takht per bhith jayega phir sab log bhi bhith jate hain itna mein shah jinnat ke takat Aamil ke bilkul samne ho ga . Shah jinnat Aamil ko salam karega . Agar Aamil ke amal ki tadad pure ho gaye hain to Aamil salam ka jaweb den agar amil ke amal ki tadad pure nahi hui to adah kad yani ghutno per khare hoga ishare se salam ke jaweb den . jab amal pora ho jaye to phir jawab den walaiqum assalam . Shah jinnat kahega ae bani adam aye saheb dawat , hum ko q bulaya , phir Aamil jawab den.Ae shah jinnat apki tashreef avare ke shukriya . ye khaskar (yani Aamil) pure josh apke khair makdam karta hain. Meri arzoo apse yeah hain ke jis jagah or jis waqt hadsa nekwa bad se mujh per wakeho app mare madat farmaye. or khas kar dost or dushman mein bhi or dunyawe tamam kamo mein app mare madat farmaye or mein yeah bhi chahta ho k app apne kuch log mere madad k liye mokarar kardein or mujhe aisa aasan tareke  taleen farmaden ke jab mein apke dedar ki tamanna karo to wo ba aasani pore ho jaye or mujh ko dobara dawat deni na pareen . Shah jinnat mazrat karega bus yeah wo waqt hain jaha per Aamil ny bade meethe andaz se shah jinnat ko atkana hota hain apni chal mein k wo maan jaye;. Aamil ko chaheya ke wo bade meethe andaz mein shah jinnat ko razi karein or apni baat per kayam rahe.

Shah jinnat se bahut adab or shahistagee se baat karein jab Aamil shah jinnat ko razi karlega to shah jinnat apne kuch jinnat ki duty laga dega ke wo her waqt Aamil k sath rahe or us ki madat karein or us ko assan tarekebhi batayega khud ke hazir hona ka


Note = Ye baat yaad rakhe k shah jinnat ko bar bar mat bolaye q k itni badi azeem hasti ko bar bar bolana achchi baat nahi hain agar app aisa karenge to apni value kho denga shah jinnat ke samne shah jinnat ko sirf saal mein ek bar bolaye bus is se zada nahi


Ek or tareka batata hun ke doran e amal aisa bhi hota hai.

doran e amal Aamil ke pass log ate hain wo Aamil se pouchenga Ae farzand adam . Tera is daawat se kya maksad hain or kya matlab hain kara ho or apna karobar deni mein mashgool ho yeah na ho ke tujhe kuch nooksan ho .
Doran amal murg yani murga ayega jo Aamil ke pass bheth jayega ya phir uske sir per bheth jayega baki or dino mein darwash ana shuru ho jayega or salam karein ga or puchega k tune hum ko q bulaya or apni hajat hum se kar hum pore karein jesa jesa din badhte jayege waise waise Aamil ko cheeze bhi zyada nazar ani shuru ho jayegee jesa 40 din ke chilla hain to 27 we din Aamil ke samna dev , pare , jinn , or insan sab hazir ho jayegay or salam karenge ke Ae bani adam tum ny hum ko q bolaya hain hum ko apni hajat batao hum tumare hajat pore karenge , agar mahboob chata ho to mahboob ko la den ga , agar sona chata ho to sona la denge . agar karobar mein taraki chata ho to taraki dedenge .

Isi tarah 28 wa roz 4 mard aajayenge or wo mard bolenge . Ae Aamil kamil farzand adam uth or is hisar se bahar aa or apna maksad bayan kar . Agar mal chahta hain to mal la denge . Agar ilm sikhna chahta hain to ilm sekha denge . or kisi ko apni mohabbat mein dewana karna chata hainto dewana kardenge . Agar tera koi dushman hain to usko halaq kardenge yeah 4 log bahut se kasam khayenge or is baat per bhi razi ho jayenge k jo to khayega hum wahi kareinga . chila ke akhre roz bahut shor hoga or pore din tarah tarah ke ajeeb ajeeb wakayat honge . Aamil ko gor sawar nazar ayega . raat tak ya tamasha laga rahega kuch der baad ek sultan jo sher per sawaar 30 hazar pare kesath Aamil ke roh ba roh khade ho jayega or salam garaz karega agar Aamil k Amal ki tadat pore ho gaye hain to salam ke jawab den agar amal ki tadat pore nahi hui to sirf khare ho kar ishare se jawab den or jab tadat pore ho jaye phir zaban se kahe wa laiqum as salam phir wohe sab jesa uper maine bataya hain shah jinnat se ki tarah baat karni he.


yeah yaad rakhe ke doran e amal apko jo bhi amal bataya jaye jinnat ko tabah karna ke app ny tadat ke bahut khayal rakh na hain yani tadat jab tak amal ki pore na ho jaye tab tak apne jinnat se baat nahi karni jesa apko bola hain ke fala aiyat 125000 bar padho 40 din tak 1 din mein 3125 parna hain jab tak app yeah tadat itna dino mein pore na karleen na to app hisar se bahar nikle or na app kisi se baat karenge doran e amal is cheez ke khas khayal rakhe

JAgah Ka Sahi Intekhab Karna


Assalamu Alaikum


Jinnat ke amal ke liye jagah ka intakhab karna bahut zaroore hain. ya u samajh lay ke yeah amal ki kamar ( backbone) hain. Yani amal depend he karta hain jagah ke intakhab karne par . agar amel ny aise he kisi bhi jagah par amal karna shuru kardiya to amel nakamyab ho jayega . jinnat ke amal k liye aisi jagah chuni jaye jahanpar koi bhi na ho. yani kisi bhi insan ka ana jana na ho .Bilkul sunsan jagah ho. behtar to yeah hain ke jungle main ja kar chilla kareen . ya phir koi aisa ghar dundhe jahanpar koi bhi na rehta ho wo ghar sunsan ho .or khud akele bhi rehna hota hain doran e amal mah. jinnat ke amal k liye apni family se door hona parta hain tanhaye ikhtayaar karni parte hain phir ghar main sookun hona chahiye. Agar app apne he ghar main chilla karenge to ho sakta hain ke apke ghar walon ko sakht nooksan ho q k jab jinnat ana shuru hota hain to wo pure ghar main ayega or wo ghar ke kisi bhi ek bande ko kuch bhi nooksan de sakta hain is main yeah zaroore nahi hain ke chota mota nooksan ho. jani nooksan bhi ho sakta hain or mali bhi .Isliye meri hidayat par zaroor amal karein or tanhaye ikhtayaar karein aise cheeze tabahe waze hote hain jab amel tanhaye ikhtayaar karta hain, agar apka ghar portion main hain yani flat bana huwa hain to bhi nahi kareen q k jinnat or dosare logo ko nooksan pahuncha sakta he. aisa ghar lay jo alag sa ho jo zameen par ho ya phir jesa gao main badi badi haweli type ke ghar hota hain wo best hain is kisam ke amal ke liye agar apne sahi jagah ka intakhab karliya to app samajh lay ke 70% chances hain ke app jinnat ke amal main kemyab ho jayengay