As sallamu allaiqum
Aisa to har
mazhab ke logo ki apni apni rai hain hamzad ke bare mein , koi isko nafz bolta hain
koi is ko rooh bolta hain, koi is ko hamzad shaitan bolta hain koi is ko insani
khayal bolta hain har mazhab ke logo ki hamzad ke barein mein kuch na kuch rai hain.
Ab sawal yeah hain ke hamzad ki haqiqat ko sabit kaise kiya jaye ke yeah insan ke
sath sath hota hain mein apko inshallah bahut achche se bataunga hamzad ke bare
mein .
Hamzad 2
tarah ke hote hain ek hamzad hota hain achche jo hum ko achche kaam kerne ki
taraf uksata hain or dusra hota hai nbura ya ap is ko shaitan hamzad bhi keh
sakte hain yeah bure kamo ka hukum deta hain or bure bure khayal dalta hain or
buraye ki taraf bolata hain
Insan ke sath
achche hamzad hota hain is ko app farishtey be bol sakte hain is ki tasdeak
quran pak mein hai.
Surah Az Zukkruf Verse No 80
Surah Ar-Ra'd
: Verse No 11
insan ke sath
sath shaitan hamzad be hota hain is ki tasdeak quran pak mein hai
Surah Qaf Verse 26,27
Surah Az Zukkruf Verse No 36
sahe se motalik quran pak main hai
Surah Al Furqan Verse No 45
Surah Al Nahl Verse No 48
Hazarate
Ayeshain Raji Allah Tala Anha ki Hadees hai wo kehte hai ke Ek rat Nabi
Salallaho Allaihi wassalam mere pass se nikley mujh gayrate aye aur mein bhi
apke piche nikal gaye ap wapas huwe aur meri saans phulney kifiyate dekhi to
farmaya apny kya tumko gayrate aa gyi thi.
Maine kaha
bhala mujh jaise par Q na garatein
karenge app ney farmaya kya tumhare pass tumhara paas tumhare shaitan aa gya
tha maine kaha Allah ke Rasool kya mere sath bhi Shaitan hai app ne farmanya HA maine kaha kya
har insane ke sath shaitan hain aap ne farmaya Haan
Maine kaha apke sath bhi Aap Ne Farmaa Haan
Lekin mere Rabb ne us ke mukable meri
madad ki or mera tabah hogya.Imam Muslim aur Imam Ahmad ne Abdullah se Rewayat kiya
wo kehte hai ki NAbi Kareem Sallaloho Alaihi wassalam ne farmaya tum me se har
shakhs ke sath ek Hamzad jin Mukerer kar diya gya hai ek Hamzad farishta bhi
logo ne kaha ki Ae Allah Ke rasool kya ap ke sath bhi app ne farmaya Haan lekin
Allah ne Uske mukable mere madad ki or mo mera tabah hogya Abb wo Sewaye khair
ke mujhe kisi cheez ka hokum Nhi Deta.
No comments:
Post a Comment